Assalatu wassalamu alaika Ya Habib Allah
Ek Zamana tha jab Deobandi Wahabi Log Salam Padhnay se chidtay thae aur Salam Padhne ko Shirk o Bid'at kahtay thae.
Dhiray Dhiray Zamana Badalta gaya Durood o Salam padhne ki Fazilat logo ko pata chali aur log salam Padhnay lagye ......
Koi Arabi me koi Farsi me Koi Urdu me bhi Salam likhnay laga
Qadeem Salam Urdu me
Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Hamesha Har jagah padha jata hai
Huzur Sahibul Barkaat Barkatullah Shah Ishqi Marehravi ne bhi salam likha Farsi me
Ya Shafial wara salamun alaik
Ya Nabial wara salamun alaik.
Haaza Qaulu Gulamikal Ishqi
Minhu ya Mustafa salamun alaik
Phir Aala Hazrat Maulana Abmed Raza Khan sb Barelvi ne Bhi Ek salam Likha jo itna mashoor hua ki
Puri Duniya me bade Shauk se padha aur Suna jata hai
Sarkar e Nazmi Ke Baqaul Shaikh Saadi ke Kalam Balgal Ula be kamalihi kasfad duja me Jamal hi
Ke baad sab se ziyada jo mashoor salam hai woh hai
Mustafa jaane Rehmat pe Lakho Salam
Sham e Bazm e Hidayat pe Lakho Salam.
Bahut bada salam hai yeh es me Huzur Sallallahu alaihi wasallam se lekar Apnay Murshid Shah Aley Rasool Ahmedi Aleyhir Rehma tak
Aap ne sabko Salam pesh kiya hai
Akhir me Huzur ki Sari ummat ko bhi salam pesh kiya hai.
"Ek Mera hi Rehmat me Dawa Nahi
Shaha Ki Sari Ummat pe Lakho Salam".
Durood o Salam ka yeh silsila band nahi hua alag alag logo apnay Aaqa ko khiraj e Muhabbat pesh kiya
Baaz log zid kartay hai Shiddat kartay hai ki Aala Hazrat ka Hi Salam padha jaye aisi zid nahi karni chahiye.
Ek baar ek Maulana sb ne mujhse baahut Hujjat kiye ki Jab se aap masjid ke sadar Bane ho aap ne Mustafa jane rehmat band karwa Diya Maine unsahab se kaha Maulana aisa nahi hai
Mustafa jane rehmat padhna hi meyaar e Sunniyat hai kya
Kya yeh hi salam padhna zaruri hai
Agar Aisa hota aala Hazrat ke bachcho ne alag alag salam kyu likha
Mufti e aazam Ne likha
Tum pe Lakho durood tum par lakho salam
Azhari Miya ne likha
Mere Allah ke nigaar salaam......
Akhir en logo ne salam kyu likha jab Mustafa jane Rehmat tha tho kisi aur salam ki zarurat kya thi aur jab likha jayega tho padha bhi jayega .
Khair sab ki apni apni soch hai apni apni samjh hai.
Jameel e Qadri sb ko Fazil e Barelvi Aleyhir Rehma ke Mureed hai
Aap ne bhi bada payara salam likha hai bahut padha jata hai
"Ay Shahenshah e madina Assaltu wassalam
Zeenat e Arsh e Moallah Assalatu was salam ".
" Mai woh Sunni hu Jameel e Qadri Marnay ke baad
Mera laasha bhi padhega Assalatu wassalam".
Mere Murshid Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma
Ne bhi likha salaam
"Shafaye Roz e Mahshar pe Lakho Salam
Saki e Hauz e kausar pe Lakho Salam".
Ishq e Ahmed Me Nazmi Jo Sarshaar ho Uskay unchay muqaddar pe Lakho salaam".
Mere Peer sb ke Khalifa sb Maulana Shakir Ali Noori sb ne bhi salam likha hai
Magar unhonay lakho cororoo ke se badhkar Behad salam likh diya
Ya Shafiu
No comments:
Post a Comment