Imaam e Aazam Abu Haneefa Radiallahu anho ki anmol naseehatein
Tum baadshah se aisa amal rakho jaise aag se rakhte ho, ki usse door rehte hue faaida uthaao, bohot kareeb na jaao.
Awaam ke saamne sirf usi baare mein baat karo jiske baare mein tum se sawaal kiya jaaye, unke saamne na hanso, na muskuraao.
Bazaaron mein zyada na jaao aur doosron ki dukaanon mein na baitho aur na raaston mein tehro.
Ghar ke alawa kisi jagah baithna chaho to masjid mein jaa baitho.
Sasuraal mein biwi ke saath rihaaish ikhtiyaar na karna aur do biwiyon ko ek ghar mein jama na karna.
Haq goyi mein kisi ki parwaah na karna khwaah baadshahe waqt kyun na ho.
Khud ko awaam aur apne girdo-pesh waalon se zyada ibaadat guzaar banao.
Ahle Ilm ke sheher mein jaao to aamee ban kar jaao taaki waha ke ahle ilm tum ko apna haq maarne wala na samajh le aur na unki maujoodgi mein mas-ala bataao na unke asaatizaa par ta'an karo.
Zyada hasne aur aurton ke saath zyada baatein karne se dil murda ho jaata hai.
Raasta chalne mein waqaar wa tamaaniyat ikhtiyaar karo. Kaamon mein jaldi na karo aur jo shakhs tumhein peeche se pukaare us par tawajjoh na do.
Guftugu mein zyada cheekh pukaar na karo. Logo ke darmiyaan Allah 'azza wa jall ka zikr karo taaki log seekhe.
Namaazon ke baad apne liye kuch wird muqarrar kar lo, har maah chand din roze ke liye khaas kar lo aur apne nafs ki nigraani karo.
Jab tumhein kisi ki buraayi ka ilm ho to uska tazkira na karo, uski achchayi talaash karo aur usi se uska zikr karo.
Qur'ane muqaddas ki tilaawat, quboore mashaaikh, mubarak maqaamaat ki ziyaarat kasrat se karo.
Bukhl se gurez karna kyunki bukhl insaan ko ruswa karta hai aur na laalchi aur jhoota banna balki apni murawwat har maamle mein mahfooz rakhna.
Badon ke hote hue us waqt tak nasisht mein bartari ikhtiyaar na karo jab tak woh tumhein khud peshkash na kare.
Mazkoora naseehatein un 100 naseehaton mein se hain jo Imaame Aazam Abu Haneefa radiallahu anho ne Imaam Abu Yusuf rehmatullahi alaih ko irshaad farmayi thi.
Refrence : Barkaat e Shariyat
No comments:
Post a Comment